WordPress Me Drop-Down Menu Kaise Set Kare
Aaj main aapko ek bahut si choti si tip dene ja raha hu, jisme aap bina kisi plugin install kiye apne Menu Bar me Drop-Down menu add kar sakte hain.
Kai baar aapko primary menu bar me sub_category add karna padta hai, jaisa ki aap mere menu bar me dekh rahe hain.
WordPress me aapke liye is tarah se sub_menu add karne ke liye plugins available hain but jab yah kaam easily bina plugin ke ho sakta hai to ham plugin install kyu kare. Follow kare meri neeche ki method.
How To Add Drop-Down Menu in WordPress
Sabse pahle apne WordPress dashboard par Appearance par click kare, yaha aapko Menu option show karega. Lagbhag sabhi wordpress theme me yah option hota hai. Click kare uske upar.
Ab menu settings me apne left side aap categories, pages, posts ya apni custom link me se jise menu bar me add karna hai use select kare aur Add to menu par click kare.
Ab aapke select kiye gaye menu aapke right side me ek line me show karenge. Abhi agar aap preview karke dekhenge to aapke menu Drop-Down nahi dekhenge sabhi alag alag line me dikhayi denge.
Ab hame Apne Primary menu ke neeche uske Sub_menu add karna hai, iske liye just Primary menu ke neeche us menu ko drag karke laaye aur use right-side shift kar de drag karke. (See Image)
Is tarah se sabhi primary menu ke neeche aap jis menu ko chahe add kar sakte hain Drag-Drop karke.
Agar aapko Sub menu me bhi sub menu create karna hai to same second menu ke neeche third menu ko right-side drag karke drop kar de.
Plugin Se Drop-Down Menu create kare
Agar aapki theme above method ka support nahi karti to aap plugin ke jariye easily yah kaam kar sakte hain. Sabse popular aur trusted plugin hain:
In Plugin ko install karne ke liye aap Plugins par jakar Add new par click karke search kare, aur Install par click kare. Install karne ke baad Activate kar de.
Conclusion
Waise agar aapki theme me first method work karti hai to plugin ka load apni website par na dale, aur agar work nahi karti to keval meri batayi gayi trusted and popular plugins ka hi use kare. happy blogging!