Normally wordpress par visitors comment box me sirf text based comment hi kar sakte hain, jaisa ki aap apni website me allow karte hain.
Lekin kya aapko apne comment form me attachment option enable karna hai? Jisme aapke visitors comment karne ke sath-sath attachment (like images, audio, documents files) upload kar attach kar sake.
To bus aaj main aapko guide karunga ki kaise aap apni website me comment section me file attachment feature add kar sakte hain taki aapke visitors comment form me file attach kar aapko send kar sake.
Add File Attachment Option in WordPress Comment
WordPress comment me File attachment feature add karne ke liye sabse pahle aapko Comment Attachment plugin install and activate karna hai.
Plugin free available hai, Plugins » Add New par click kare aur plugin ko search kar install and activate kare.
Plugin ko activate karne ke baad ab hume plugin ki kuch settings karna hai, jo aap apne according set kar sakte hain.
Plugin ki settings open karne ke liye Dashboard par Settings » Discussion par click kare.
Discussion me Comment Attachment option me aap plugin ki settings kar sakte hain. Yaha aapko kuch options me settings karna hai.
- Display Attachment field – me aap Attachment option comment form ke pahle ya baad (Before/After) me set kar sakte hain.
- Maximum file size – me aap file ki maximum size set kar sakte hain.
- Make Attachment in comment a link me aap images ke alawa other file ko link me show kar sakte hain
- Show image thumbnail – me aap comment me images ka preview show kar sakte hain.
- Image Attachment size in comment me aap image ki size set kar sakte hain
Plugin ki next settings hai Allowed File Types me aap wo file Types enable kar sakte hai jo aapko attachment ke liye enable karna hai. By Default GIF, JPG and PNG fie type set hota hai. Aap chahe to PDF, Docx, ZIP, Mp3, 3gp and other sabhi files types apne according select kar sakte hain.
Bus above setting karne ke baad Save Changes par click kar Settings ko save kare.
Ab aap apne website ke Comment Box me upload attachment ka option dekh sakte hain, jis par click kar aapke visitors comment karne ke sath-sath different files bhi upload kar send sakte hain.
Aap comments me visitors ki comment ke sath-sath attach ki gayi file bhi dekh sakte hain. Aap yaha par attached file ko delete bhi kar sakte hain.
Agar attach ki gayi file sahi hai aur website me show karne layak hai to aap comment ke sath-sath attached file ko approve kar sakte hain, warna attach file ko delete kar sakte hain.
Final Words
To dosto kuch is tarah se aap wordpress comment box ko advanced bana sakte hain apne visitors ke liye attach file ki feature enable kar.
Kayi bar aapke readers ko apni query se related screenshot send karna hota hai wo is feature ka use kar sakte hain, ya fir kisi ko koi file send karna hai wo bhi yaha add kar sakte hain.
Bro yeh jo aapne video upload ki hai. Iske liye computer me konsa screen recorder use kiya hua hai?
hello harpreet, Main Camtasia Studio use karta hu. Yah premium PC software hai.
Sticky sidebar widget ke liye kaun sa plugin use kiye ho?
Q2W3 Fixed Widget plugin
sir mere AdSense Account me 108$ huye hai ! ab yah earning mere bank me kab transfer honge ..plz help me you can check my website -Pcbox.in
Agar aapne Adsense payment ke liye Wire transfer method add kiya hai to aapka paisa 21-23 month date ko bank account me credit ho jayega, agar payment method add nahi kiya hai to aapko cheque milega jo ki 30 days me milega
Bhot hi accha jankari share kiya hai aapne bro mera ek sabaal hai ki mera about aur comment me mera image shows nahi ho rahahai gavarnar me account hai settings bhi hai
Aapki theme support karti hai ya nahi ye ispe depend karta hai. Apme theme provider se pooche wo aapki help karenge