SBI Me Online Account Ke Liye Apply Kaise Kare
Agar aap State Bank of India me apna New Saving Account Open karane ke liye Bank visit karenge to sabse pahle aapse kaha jayega – Online Apply kare.
Ho sakta hai aapko Account opening form bhi provide na kiya jaye.
Aise me aapko Account open karne ke liye online form fill-up karna padta hai aur uske baad Form ki print-out nikalkar KYC (Know your customer) Document ke sath Kisi bhi SBI Branch me submit karna padega.
Aaj main aapko batane ja raha hu kaise aap State Bank of India me Saving Account open karne ke liye online Apply kar sakte hain. Let’s see:
SBI Me online Saving Account ke liye Apply karne ki 3 Process hain:
- Online Form Fill-up karna
- Filled Form Download karke print out lena
- Form ko identity proof & Address proof ke sath Bank me Submit karna
Form and Kyc submit karne ke baad aapka account open kar diya jayega, aur aapko banking kit provide ki jayegi.
Ok, to hum step-by-step process ko follow karte hain.
Step#1: Online Form Fill-Up kare
Sabse pahle onlinesbi.com par jakar aapko menu bar me Apply SB Account par click karna hai. uske andar For Resident Individuals aur usme Regular SB Account par click karna hai. (See below)
Next screen me Apply Now par click kare.
Next screen me hume sabse pahle Customer Information Section Fill up karna padega iske liye Start New par click karna hai.
Account open form se sabse pahle Personal Details me apna name, father & mother name enter kare. UID me aap apna Aadhaar number Add kar sakte hain.
Correspondence Address me apni Address details Add kare, apna Mobile number Add kare. Aapke is number par sabhi banking alerts and OTP receive honge.
Ab Permanent Address me agar aapka Address same hai to same as correspondence Address me YES select kare.
Ab sabhi details add karne ke baad Captcha code enter karke Submit par click kare.
Submit par click karte hi aapke screen par TCRN Number show karega, yah Number aapke Mobile number par bhi receive hoga.
Now Click save and Proceed.
Next screen me aapko PAN CARD details jo ki add karna bahut jaruri hai additional tax se bachne ke liye, wo add kare. Monthly income, educational qualification add kare. Now Click Save & proceed.
Ab next Identification Details me aapko Identity proof and Address proof select karna hai. Yaha aap ID proof me Aadhar Card, Election card etc select kar sakte hain, Address proof me Aadhar card, ration card, Light bill select kar sakte hain.
Click Save and proceed.
Ab next aapko Account Information ADD karna hai jisme aapko Bank Branch select karna hai.
- Type of Account me apako Debit card & cheque book lena hai to ‘With Cheque Book and Debit card’ select kare.
- Ab Details of Applicant me apna TCRN number enter kare. TCRN enter karte hi aapka Name Display hoga.
- Branch Code me apni Branch select kare. Branch ka code enter kare and Get Branch Name par click kare. Branch Code aap Google search kar sakte hain.
- ATM -cum- Debit card lena hai to uske upar √ mark kare.
- Internet Banking facility leni hai to uske upar √ mark kare.
- Mobile Banking me √ mark kare.
- SMS Alert on Mobile par √ mark kare.
- Mode of operation me Self only select karke Proceed par click kare.
Proceed par click karte hi TARN Number generate hoga. Yah Number aapke Mobile Number par bhi Receive hoga. Save and proceed par click kare.
Ab aapko nominee add krna hai ya nahi matlab apne account ka vaaris, agar nahi karna to aap I/we do not want to nominee select kar sakte hain. Now click Save and Proceed.
Save and Proceed par click karne ke baad Confirm “Submit” par click kare.
Congratulation, aapki SBI Online Account Application Successfully Submit ho chuki hai.
Ab aapko Filled kiya hua apna Form Download karna hai aur Print kar lena hai.
Step# 2: Filled kiya gaya Form Download karke Print kare
Apne Filled kiya gaye Form ko Download karne ke liye onlinesbi par visit kare. menu bar me Apply SB Account » For Resident Individuals » Regular SB Account par click kare
Next screen me aapko Download complete Application par click karna hai.
Download Completed Application par click karte hi mini window me apna TARN number, Birth date enter karke Download par click kare.
Aapka Filled kiya gaya Form Download ho jayega.
Step# 3: Form and Documents ke sath Branch Visit kare
Ab Download kiye gaye Form ka print out nikal le. Aur sabhi Documents 1) Identity proof 2) Address proof 3) 2 Passport Size photo – lekar bank branch me visit kare and Submit kar de.
Aapka kuch minutes me Account open ho jayega and aapko Banking kit provide ki jayegi jisme passbook, cheque book, Debit card, internet banking kit include hogi.
FAQ: Questions & Answers
Q.1: Internet error ki vajah se form complete nahi hua, kya karu?
Answer: Just onlinesbi par jaye Apply Now par click kare, yaha aapko “Continue with Partially filled” option show karega, wha aap TARN/TCRN number enter karke filled details recover kar sakte hain.
Q.2: Kya form online fill karne ke baad turant bank visit karne hoga?
Answer: nahi, aap 30 din ke andar kabhi bhi visit kar form submit kar sakte hain.
Q.3: Account open karne ke liye Money Deposit karna hoga?
Answer: Aapko just Rs.1000 deposit karna hoga.
Q.4: Kya main kisi bhi Branch me Account open kar sakta hu?
Answer: yes, aap kisi bhi Branch me jakar apna Account open kara sakte hain.
Q.5: Mere paas already account hai, kya second open kara sakta hu?
Answer: Yes, aap second account open kar sakte hain. Mere 2 accounts hain SBI ki same branch me.
SBI hi nahi aap Kotak Mahindra me Bina Branch Visit kiye apna JIFI Saving Account open kara sakte hain.
Read Also:
Sir ji, kya S.B.I bank me form ko summit Karne family ka Koi bhi sadsy ja sakta hai ya nahi.
mobile se Form ko download kare computer se print kara sakte kya
1) Form Submit karne ke liye usko hi jana hoga jise account open karana hai, kyunki waha signature ki jarurat padti hai and verification ke liye jaroori hai.
2) Online form fill up karne ke baad aap form ko PC or mobile par download kar print kara sakte hain.
Ya fir jaha se print kara rahe hain waha onlinesbi par jakar apna TRN numner enter kar direct print nikal sakte hain.
sir ye bataye ki ye accont normal hoga ya fir jan dhan me hoga
Normal Saving account hoga. Jan dhan ke liye aapko branch me jana hoga
sbi me online khata close kaise kare
Hello Amit, Account close karne ke liye aapko Bank ki branch me visit karna hoga, online close nahi hota
Brother Mere pass pen card nahi hai .. toh kya mai without pen card account open kar sakta hu ??
Ji ha aap Bina Pan card ke Sirf Aadhar card se apna account open kara sakte hain. Aap Election card bhi use kar sakte hain
Sir mai apna SBI mai join account kholana chahata hu uski kya process hai Sir jee pls batao Sir jee
Apna Aadhar card aur apne sath wale person ka Aadhar card bank me lekar jaye aur us person ko bhi sath le jaye. Bus branch me jaye aur joint account open karne ke liye kahe. Aapka kaam ho jayega.
Sir mujhe mobile no. Registion krna ho to kese kare
Mobile number register karne ke liye to aapko Bank me jana hoga. Ha number change aap Online netbanking se kar sakte ho
sir me jaipur me study krta hu mera pass onliy fir addhar card or votar id he or me jaipur me rent se rahata hu to kya account khol skta hu
Aap apne Aadhar card se Account open kara sakte hain.
sir me jaipur me study krta hu or yahe rent se rahata hu to muja account kholna k liya kya kya documents chaiya
Sirf Aadhar card
Sir, sbi me jan dhan account kaise khol sakte hai….
Kya useme bhi yahi step apnne padege….
SBI me Jan Dhan Account open karna bahut easy hai. bank me jaiye apna Aadhar card aur passport photo lekar aur Form bhar kar account open kare.
Kya main address proof aur identity proof m kewal Aadhar Card De sakta hun
Ji ha. Aadhar card aapka ID proof bhi hai aur Address Proof bhi hai
sir maine sbi net banking registration nahi kar pa raha hu.
usme session has expired please try again bar bar dekhai de raha hai please help.
Dekhiye ye server problem hai. Morning me 9 to 4 ke beech yah kaam kare. try karte rahe ho jayega
mere pass PAN ni hai tho 60/61 form kaise bharu. plz sir help
ye form aapko bank me mil jayega. PAN card aap 102 pay karke banwa sakte hain Online aur kisi bhi agent ke through
sir main online SBI account k liye apply kar RHA hu par mere pass pan card ni h tho 60/61 form fill karne k liye bola jaa RHA hai kaise bahru aur kya bharu. MADAD KIJIYE SIR BAHUT ZARURI HAI PLS
Agar aapke paas PAN CARD hota to yah form nahi submit karna padta. Form 60/61 aapko bank me mil jayega. Aap Online download bhi kar sakte hain is link se. Bus ye form Fill karke Submit kare
sir main 1 atm se 2000 rupees nikala lekin mila nahi kitne din bad hamare a/c me paisa vapas aa jayega
Agar aapke account me se paisa debit hua hai aur 24 hours me paisa vapas credit nahi hua hai to aap bank me jaye aur contact kare
sir joint account me kitne member rah skte sabko 18 se par hona chahiye kya
two person. And 18+ hona jaruri nahi
2 step me Please enter Sole/First
Applicant’s TARN is me kya bharna he sir pliz meri help kijiye
TARN number aapke Mobile number par receive hua hoga, check kare
sir mera already jan dhan account hain kya mai dusara saving account open kar sakata hun
.agar kar sakata hun to kya uske liye mujhe bank jana padega
reply me on my email
Ha. Aap apna doosra saving account open kara sakte hain lekin same branch me open na kare, dusri branch me jaye aur waha open kare
sir main apna account chek karna chahta hoo mujhe koi upay bataie
Aap online Net banking activate karke apna account online dekh sakte hain aur bank ke sabhi kaam jaise ki money transfer, recharges, cheque book request, debit card apply etc etc work kar sakte hain. Bank me visit kare aur Net banking ke liye apply kare. Net banking online bhi aap activate kar sakte hain.
sir mujhe online acount open karne ke liye kit chahiye iske liye me kya karo.
SBI me saving account open karne ke liye aap online form fill kar sakte hain aur kisi bhi branch me jahakr form ki print submit kar account open kar sakte hain.
1 Ye kitne page ka hota hai
2 agar 30 din me form jama nah kiye to
Form 4 pages me print ho jayega A4 size me. Agar 30 days me aapne Form submit nahi kiya to application reject ho jayegi. 30 days ke baad expire
rohit bhai mera foam bhara tha our allready 30 din ke uper ho gya hai ye note bandhi ke vajah se,
our abhi muje firse online form bharna hoga ki….????? kya vo puraana form reject ho gya hogaki….
plz muje bataye…..
yes ab aapko fir se online form fill karna hoga aur print nikalna hoga.
kya sbi me bachonka account online khol sakte hai plz help me sir
SBI me online aap Account apply kar sakte hain fir kids, ha usme guardian hona jaruri hai.
Sir ji Captcha code kya h ye kaha se milenge
Sign in Google captcha, aap apni site me add kar skte hain plugin ka use karke
sir kya ham bank me atm ke threw paise de sakte h
Ha bank me aap POS machine ke jariye card to card, or card to account paisa send kar sakte hain. ATM ke jariye counter par nahi kar sakte wha to aap demand draft/form se send/transfer kar sakte hain
Sir g mujhe SBI me salary account ki kya prosses h
Branch me jakar aap apna salary account open kara sakte hain, online nahi kar sakte
Kya online mobile no.register kar sakate hai? To kaise register kare mobile no.
Mobile number register karne ke liye aapko bank me jana hoga. Online aap sirf change kar sakte hain
ITZ KYA HAI , IS PAR ACCOUNT KAISE BANAYE , CARD KAISE ORDER KARE
Wallet App hai. Same other wallets ki tarah. Aap app install karke register kar use kar sakte hain/
Dear sir !
Mai SBI me current account open katana chahta hu to Kya online current account open ho Sakta hai ?
Current account open karne ke liye aapko bank me jana hoga. Saving account form aap online fill kar sakte hain
Sir ji TRN NO
Kya Hota hai
TRN number aap jo Form Fill karte hain uska number hota hai, yah Number enter karke aap baki ka form baad me fill kar sakte hain. Online Form fill karte samay yah generate hota hai.
Kya net banking ka charges hai agar hai to yearly kitana hota hai
Net Banking Free service hai jo har bank aapko provide karti hai.
Kya mujhe account open karne ke liye 1000 rs hi dena parega ya kam me v hoga
Regular saving account ke liye aapko Rs.1000 Deposit karna padta hai aur maintain bhi karna padta hai. Zero balance me aap JAN DHAN Account open kar sakte hain
bhai ye bataye agar ham sbi account 2000 se kholte he, to bhi minimum 1000 hi maintain karna hoga ya fir 2000 hi rakhna padega.
Nahi, aapko sirf account me rs.1000 maintain karke rakhna hai.
Ok, Thanks bhai.
Kya hum bank me purana singeture badal sakte hai
Yes. Aap bank me jakar apna signature update kar sakte hain
Bhai mene application submit krke download kr liya pdf file lekin wh open hi nhi ho rhi to print kese nikale uski ya fr wh computer me hi open hoti h kya plzzz Rply
PDF file ko Pen Drive me move kare aur kisi bhi cyber cafe me jakar print nikale.
sbi online account ki poori processes completed kr li or application bhi download kr li lekin wh file pdf reader me bhi nhi khuli or computer me bhi or sara kam Mobile se kiya h ab kya kre..? help bhai
Download kiya gaya form PDF format me hota hai, better hai PC me open kare. Cyber cafe me jaye aur print nikale.
mene aaj account khulwaya, account passbook me Krishna kumar ki jagah krishan kumar aaya he to is mistake ko kese theek kare. aur na kare to koi dikkat hogi kya ?
Name me mistake nahi honi chahiye warna aapko kafi problem hogi money send and receive hone me. ID proof lekar jaye bank me aur name correct kare
mene account open karwaya jisme mera name krishna kumar ki jagah krishan kumar ho gaya, ab ye theek kese hoga aur na theek karwaye to koi dikkat to nahi hogi
Apna ID proof le jaye aur bank me jakar apna name correct karaye. Yah kaam bank me jaane se hi hoga.
Sir muj ko apna account khulwana hain muj ko kiuya krna pdega… help me… sir
Aap online SBI Account open form fill kare, uska print nikale aur bank me visit kare. Passport size photo, Aadhar card and pan card sath le jaye. Pan card nahi hai to no problem. Bus Form and document bank me submit kare. Kuch minutes me aapka account open kar diya jayega. Account me Rs.1000 deposit kare.
maine apply kiya hai download kiye the print nahi nikale the aur wo delete ho gya hai ab dobara kaise download hoga please pls reply………
Delete aapke pc par hua hai SBI ke server se nahi. JO pin aapke mobile number par receive hua hai form fill karte samay, uske jariye aap apna Filled form download kar sakte hain.
Hello Rohit mene sbi me online apply keya tha but print out nahi nelak paya aur jo fail download ke the sbi ki who deleted ho gaya hai ab muje dobara who fail download karne hai kasi hoge pillez help me
Mere gmail address is mohdneyaz42@gmail.com Rplay
Jab aap Form Fill karte hain to wo save ho jata hai, aur aap us save form ko aapke phone me PIN receive hota hai uske jariye form ko retrieve kar sakte hain.
Pin number dal kar bhi fail nahi khul rahi hai keyo ki mene pehle hi download keya tha jo delete ho gaye hai lagta hai who fail eq bar hi download hothi hai keya Rplay
Ek kaam kare form ko fir se fill up kare. Wo Application 30 days ke baad delete ho jayegi.
Hello Rohit mere eq friend ki income 5000 se 10000 hai par form me to 20000 se start hai me ab kasi income baru keya bena income bareh apply ho sakta hai ya koye aur rahsta ho to batao pillez help me
Income option me aap koi bhi option choose kar sakte hain, aap wo column blank rakh sakte hain, jaroori nahi hai
Mere incom muntly 10000 hai aur us me start 20000 hai keya karu me
jaroori nahi hai, aap koi bhi option choose kar sakte hain
Form ko colrs me print out nekal na hai ya back bhi se kam ho jayega aur muntly 20000 se start hai form pe aur mere income to 5000 muntly hai ab me keya bharo usme
Form aap black & white print kar sakte hain, income me aap koi bhi option choose kar sakte hain. As you wish.
Thank Rohit
Sbi me green card kya hota hai
Green card ke jariye aap kisi bhi cash deposit machine and GCC branch me kisi ke bhi sbi account me money deposit kar sakte hain. Yah card money deposit karne ke liye hai
Green card ka bhi charges hai
Yes, Card issue charge hai under Rs.100
Maine naya account khola hai sbi me aaj passbook mila hai to ATM kitne din me ayega kya hame ATM ke liye alga se apply karna hoga?
ATM aapko 20 days ke andar mil jayega uske baad PIN bhi mil jayega.
Sir mera account me jo mobile no.hai vo no.aur mera ma ke account me bhi hai aur jab me bhim app ke liye mera account usame nahi dikha raha aur dono sbi ke hi account hai mera account bhim app se jodne ke liye kya karana hoga plz help mi sir
Agar aapke 2 accounts hote to wo dono BHIM App me show karte, lekin yaha 2 person ke account ek number se link hain isliye aapki mother ka account show karega. Ab aapko yah karna hai ki apne account ka registered mobile number change kare, koi other number register karaye. Yah kaam aap Online Netbanking ke jariye kar sakte hain. Read
sir,SBI,jandhan khata me net banking kaise
kare
Iske liye aapko Bank jana hoga aur Net banking ke liye apply karna hoga. Bank aapko User id aur password degi,jiske jariye login kar aap apna Account online access kar sakte hain.
coll centar me pucha to vo bola jandhan ac me ye suvidha nahi hogi
Jan dhan Account open karne ke liye aapko Bank jana jaroori hai, iska form alag hota hai.
call center me pucha to vo bola ki jandhan ac/ me aisa koi suvidha nahi hai
Jan Dhan Account aap Sirf bank jakar hi khol sakte hain, Isme aapko Rupay card milta hai
ac to hai usme net banking chahiye
Net banking ke liye aapko apne Bank branch me jana hoga aur ek Form bhar kar dena hoga. Bank aapko User ID aur Password degi. Uske jariye aap Net banking access kar skte hain
Sir galti se mera account closed ho gaya hai to kya bol rahi ho Pan ho sakta hai
अब यह बैंक पर निर्भर करता है की आपका बंद किया खाता फिर से चालू किया जाए या नहीं। अगर हो जाये तो ठीक, नहीं तो आप फिर अपना नया अकाउंट खुलवा सकते हैं। अगर इस बंद किए गए अकाउंट में आपको सब्सिडि मिलती थी, और फिर से चालू होने की उम्मीद नहीं है तो इस अकाउंट को unlink करे वो आप बैंक से कहेंगे तो हो जाएगा। अब नए अकाउंट मे सब्सिडि के लिए Register करे।
Agar sir jiske paas pan card nahi to kya karega.
Dekhiye PAN CARD aaj bahut jaroori ho gaya hai uske bina aap koi banking kaam nahi kar sakte. PAN CARD aap aadhar card se bhi banwa sakte hain online. Aap apne Najdeeki kisi bhi PAN card banane wale se bhi banwa sakte hain.
Bhai aapka YouTube channel baht best hai pls upload this video on posts
Ji main kosis karunga, youtube channel ke liye samay nahi milta
Sir mujhe SBI me a/c open karna hai lekin main abhi dusri city me shift ho gaya ho aur rent pe rah raha ho aur jis city ka mere pass documents hai woh bohat durr hai aur waha ka light bill bhi hai sirf AADHAR Card aur PAN CARD hai toh mujhe wahi pe hi ja kar a/c open karna honga ya fir is city me bhi open kar sakta ho.
jaha aapka ghar hai aapko wahi account open karna hoga. Aadhaar card se aapka account open ho jayega, lekin address aadhaar card ka hi register hoga aur ATM card PIN sab us address par aayega
sir, main collage ka student hoo meri age 18 year se kam hai. main sbi bank main account kholne ke liye konse Document chahiye hoge
Sirf aapka Aadhaar card kafi hai account open karne ke liye. PAN CARD hai to aur bhi achi baat hai
Bhai mai UP se Hu But Mumbai me rahta hu. Mai Bank account open kana chahta hu iske mere pass Mumbai ka koi Proof nahi hai. to kya mai bank account Open kar sakta hu
Address proof to hona chahiye. Waise Aadhaar card se account open ho jata hai lekin aapka khud ka Address bhi jaroori hai