SBI Registered Mobile Number Online Change Kaise Kare?
Achha! to aap SBI account ka registered mobile number change karna chahte hain aur uske liye branch me visit karne ja rahe hain.
But wait yah kaam aap online kar sakte hain, aap apne online Net banking account se apna Registred banking number change kar sakte hain.
Pahle yah feature online available nahi thi, aapko number change karne ke liye brach me form fill up karke submit karna padta tha.
But ab aisa nahi hai, SBI ke most of banking related work aap apne Net banking account par kar sakte hain chahe wo Debit card apply karna ho, IMPS fund transfer ho, new account open karna ho ya aur koi work sab online kar sakte hain.
SBI Registered Mobile Number Online Change Kare
Agar aapke paas SBI net banking facility nahi hai to aap online apne Debit card se Net banking activate kar sakte hain, aapko Branch me visit karne ki jarurat nahi hai.
Onlinesbi.com par visit kar apni Login ID and password se account me login kare.
Account me Login karne ke baad Profile tab par click kare uske baad profile me Personal Details par click kare.
Ab apna Profile password enter kar proceed kare
profile password enter karne ke baad personal details me aapko Mobile number ke saamne “Change Mobile number-Domestic only (Through OTP/ATM/Contact Centre)” par click karma hai
Ab apna New Mobile Number enter kare, ek bar fir enter kar confirm kare and click submit.
New Mobile number enter karne ke baad ab aapko 3 methods show karegi, Number change karne ke liye
- Yaha aapko OTP select karna hai.
OTP method choose karne ke baad apna Account Number select kare aur proceed par click kare
Ab apna Card number confirm kar Proceed par click kare
card ko confirm karne ke baad ab aapko new mobile number confirm karne ke liye Rs.1 ka transaction karna hoga, baad me yah amount aapke account me refund kar di jayegi.
- Card Details enter kar Proceed par click kare.
Online proceed aapne complete kar li hai.
Ab aapko next apne Dono mobile number Old and New se SMS send karna hai confirmation karne ke liye.
Aapke Dono Mobile Number par OTP with Reference number send kiya jayega jo aapko SMS ke jariye 567676 par send karna hai.
SMS kuch is tarah send kare:
Type kare ACTIVATE <8 digit OTP> <13 digit reference number> and send to 567676
Ye dekhiye maine apne old and new number se SMS send kiya hai:-
Humne OTP ke through online apna SBI Registered Mobile number change kar liya hai. Bus kuch hours me aapka number update ho jayega.
To is tarah se aap bina branch me visit kiye apna registered mobile number online change kar sakte hain. Waise aap ATM par bhi apna registered mobile number change kar sakte hain.
Must see: SBI Card ko Block karne ki 4 methods janiye
Nice tips Rohit.
But this is limited for the users who use internetbanking.
What if someone don’t have netbanking?
They will have to visit the home branch, right?
Hello Anil,
You can use SBI Freedom App.
Mobile number changing option also available there.
But note sure, it works or not. Try it and let me know.
See: How register account with SBI freedom app
Sir me keise pata karu ki mere bank account me kon sa no. Register hai
Bahut aasaan hai, Internet bank se recharge ya koi transaction kare, aapko OTP receive hoga registered number par.
Sir mera bank of india he or me usme apna mobile number kese change karu
Hello Arman,
sabhi banks me number change karne ki process alag hoti hai. Kuch banks me aap Net banking se change kar sakte hain. Agar Bank of India ka Net banking aapka active hai to online net banking open kare wha sayad option ho. Ya fir aap bank me visit kare waha change ho jayega. Pahle Net banking me check kare
mera purana no kho gya h otp jispe atah. ab mjhe new no rgester krna h . kese karu
Hello Lalit, online apna mobile number change karne ke liye aapke paas OLD and New dono number hona jaruri hai kyunki old number par confirm PIN aata hai. Ab aapka OLD number miss ho gaya hai to aapko Branch me jana padega aur apna New Mobile register karna hoga. Bank jaate samay apna passbook aur PAN card sath le jana.
Hi
Main apna user name or password bhul gya hu.. Or abhi main out of India hu.. To Mera SBI account SE registered number bhi band hai.. Foreign country Ka number register ho jayega Kya account me?? Or user name or password reset krne Ka Kya process hai?? I m in 2 much trouble help me out …. Waiting.. Pls mail me the solution.. Pls..
Hello Jagjeet, aap apna password reset kar sakte hain.But user ID agar bhul gaye hain to kuch kah nahi sakte. try this
1. Profile password se reset aap password reset kar sakte hain
2. Aapko Password reset karne ke liye jo aapne Question ka answer set kiya hai us se bhi reset kar sakte hain
3. ATM Card se onlinesbi me new registration kare ho sakta hai work kare, follow this guide
4. Call SBI toll free contact number 1800 425 3800.
sir jo baata raheee vo mobile se ho saktaa h ….laptop pr karnaa hogaaa
Yah kaam aap onlinesbi.com par kar sakte hain, Mobile par bhi aap apne net banking account par login kar yah kaam kar sakte hain, lekin easily karna chahte hain to PC ka use kare
That’s great tips.my all problem solved in this tips.thanks askme
मेरे पास नेट बैंकिंग नही हे तो में केसे अपना मोबाइल नम्बर डालु ?????
Aapke paas Debit card/Atm card hai to aap online apni Netbanking activate kar sakte hain aur apna number change kar sakte hain. Online nahi karna chahte to branch me jakar bhi kar sakte hain.
sir mere paas sbi ka a.c. hai mere a.c me jo mobile number tha vo band ho gya hai mujhe new number a.c. se online link karna hai kaise karna hai plz help me
Replied on Facebook
Maine nya net banking register kya hai Paisa transfer ka option kholne par u on veweing right bata raha hi mai kya karu
Aapne Netbanking kaise Activate kiya hai? Online ya fir Branch ke through??
Online
Register Mob no change karne k bad
Maine dono no se sms v kiya hi fir v no change nahi hua kitna time k bad hota hi mujhe pata kaise chale ga k mera no change ho gya hi
Hello, number change turant ho jata hai. Aap apna register number online netbanking me Profile option me dekh sakte hain,Aap chahe to koi transaction karke bhi number dekh sakte hain jis par alert message reecive hoga
Hi Admin
i hav register in sbionline with the help of debit card….bt the problem is dat..i didnt get full right to my account ..i can chek my transaction detail and balance detail..i m not able to upgrade to full transaction right ..there is a error msg always…..wht should i do now…..i live in chd. and my home branch is in hp..i cant go there …if u hav solution then pls help me..thnx
Just login to your NEt banking account. CLick e-Services tab. from left side options Now click Change Access level. And Set full transaction rights.
Mera no change nahi hua hai mane dono mob no se sms send v kiya hi 3 rs balance v kate hi mai kya karu Agar old no band ho jaye to us no se sms send kaise hoga
Aapne Number change process me koi mistake ki hai. Main apne 2 accounts ka number online change kar chuka hu. Plz article ko carefully read kare aur samjhe.
Sir mera registered mobile no. Gayab hogiya..new no. Kaise register karun bina branch visit kiye
Hello Online number change karne ke liye aapke paas old number hona jaroori hai. Ab aapke paas old number nahi hai aur new register karna hai to iske liye aapko branch me visit karna hoga
SBI ATM dwara mobile registration kitna din me activated hota hai
Mobile activate registration ke samay turant ho jata hai
Kitna din me ATM dwara activated hota hai number
changed Mobile Number aapka turant activate ho jata hai
kya sbi mi pahla net banking ko deactivate karke dusra nya netbanking ko register kar sakte hi ya usko rahte hue dusra bana sakte hi
Agar aapne Net banking ko deactivate kar diya hai to aap fir se activate kar sakte hain, usme aapko new user ID and Password receive hoga. Aap sirf ek Net banking USer ID use kar sakte hain single account ke liye
sir net banking ko deactivate kaise karte hi
Call to sbi Toll free number 1800 425 3800
sir mai SBI sent dusre bank me fund transfer kaise karu
Apne SBI Account se aap doosre bank me fund transfer karne ke liye Net banking se NEFT and IMPS fund transfer facility use kar sakte hain. Aap Banking Mobile app me bhi yah kaam kar sakte hain. Online fund transfer karne ke liye aapke paas online net banking hona jaruri hai jo sabhi banks aapko free provide karti hain
Sir mai profile pw phool gaya aur mujhe hint question malum nahi phir kaise profile pw baba
Agar aap Profile password aur hint question bhul gaye hain to fir aapko branch me contact karna hoga.
Hello sir, maine kafi time se apna sbi AC use nhi kiya hai.. Bt wo activate h. Bt usme bal. Nhi hai. Ab mai use properly use karna chahti hu. 1 saal se bal. Nhi h. To ab usme amount dalne pe kitna minus hoga. Plz tell me
1 saal se aapka account 0 balance hai aur koi activity nahi hui iska matlab aapka account freez ho gaya hai, A branch jaye aur 1000 amount deposit kare. Koi charge nahi lagega, minus nahi hoga/
Sir. . . Mera ATM me registered Mobil no. Band ho gya hai.
To new number kaise change kr skte hai
Online Number change karne ke liye aapke New and Old dono hona jaruri hai, aap Branch me jakar bhi apna New Mobile Number change kar sakte hain
sir mere ko apne acount se no. link karvane ke liye kya kru
Agar aapke bank account se Mobile number link nahi hai to bank jaye aur apna number register kare. Aap online apna Number change kar sakte hain lekin register karne aapko bank jana padega
HELLO SIR,
MAE APNA MOBILE NUMBER CHANGE KERNA CHAHTA HU PER MA APNA PURANA NUMBER BHUL GYA HU, ONLINE SBI SE KESE CHANGE KER SAKTE HAI,
Ha aap onlinesbi se change kar sakte hain. Online sbi me aapko ATM option choose karna hoga kyun ki aap old number bhool gaye hain. ATM option select karne ke baad aapke New number par ek reference number receive hoga jo aapko SBI ATM machine me jakar enter karna hai bus kaam ho gaya. Yah Post read kare
sir , kya mai apna address change kar sakte hai online
Nahi, Address online change nahi hoga. Address change karne ke liye aapko apna New address proof bank me submit karna hoga
Sir how to get my username and password. not avelible here
you need to apply for Net banking at bank. Bank will provide you user ID and password for Net banking.
Me apna mobile no registration kese karu benk me mobile no he registration karna he benk me jana pade ga??
Agar aapka Mobile Number aapke bank account se register nahi hai to register karne ke liye aapko bank jana hoga. Online sirf aap apna registered mobile number change kar sakte hain
Sir mera mobile no khogaya hai or mera pass net banking bhi nehi hai or na to atm card to Sir me kese cheng karu mera mobile no plz Sir mujhe tarika bata dijiye me abhi mera home branch se bahut dur me hu My no 9439404592
Sanjay, bina Net banking ke aap apna Mobile number change nahi kar sakte. Aapke paas ATM bhi nahi hai. Ab to bank me jakar hi aap change kar sakte hain. Main aapko salah dunga ki ek bar bank me jakar Net banking activate kare, apna Mobile number account se link kare aur ATM/Debit card ke liye apply kare – yah 3 kaam bank me jakar kare taki aapko future me koi problem na ho
I have completed the mobile no. change process via OTP on both numbers(old and new)
But the status is still pending.
How much time does it take to approve the update?
Within 24 hours your Mobile number will be updated
Sir mera net banking me old mobile number so kar raha hai chenj kaise kare
ye Post read karke apna number change kare. Within 24 hours aapka Number update ho jayega
a/c 34634303865 old mo 8609091400 new number register 9679824476
hello, aap above method se apna New Number update kar sakte hain.
Sir mai Atm me thru internet banking ka mobile number change karna chahta hu maine reference number mangawa liya hai…lekin Atm se change nahi ho pa raha hai..and Irata status pending Dikha raha hai. Mera internet banking activation wala no. Band ho gaya hai isliye ye wala option choose kiya hu..
Suggest me ab kya karu
Plz wait abhi pending show kar raha hai, kuch time lagega number update hone me
Sir i hv tried to update my no. In through online sbi….i hv received otp on both old & new no.s…bt after sending msg of activation codes….i m getting this reply only on both the no.s “Dear Customer, Your request for mobile number change could not be processed. Please try after sometime”
what to do now?
Plz type message correctly and try again. I changed My Number many times. If this not work for you then you can change your Number through SBI freedom app easily and also you can change at ATM machine.
hello sir
mere bank a/c me mera mobile register karna hai.
Online aap apna Mobile change kar sakte hain. Register karne ke liye aapko Bank me jana hoga aur small sa form hai usko fill karke bank me dena hoga
Hello Rohit, Hope u r doing well.. Mera phone no. inactive ho gya hai jo register tha account se. Apna new phone no. Internet banking se bhi update nai ho rha hai.. Aur koi option hai number update karne ka ?
Number automatic inactive nahi hota. Number update karne ke kayi options hain. Internet banking se agar nahi ho raha hai to SBI Freedom par kar sakte hain aur ATM par bhi
Sir mere pass atm ka sara kuch h jaise atm number atm pin number
M bahar rehta hoon aur mera mobile number band h to bina otp k kese online shoping karoon plssss
Sabse pahle to Normal ATM card online work nahi karta.Ha agar SBI Debit card hai aapke paas to uske jariye aap shopping kar sakte hain online, lekin uske liye OTP enter karna jaroori hai jo aapke registered Mobile number par receive hota hai
SIR MAI APNA PROFILE PASSWORD BHUL GAYA HU
KAISE RESET KARU
SUGGETION PLZ
Profile password bhool jane par aap usko Security Question se reset kar sakte hain. Agar Security Question ka answer aap bhool gaye hain to fir aapko bank me jakar reset karna hoga
Bhai ap APN mobile number Dena plz….
Sorry personal number nahi de sakta, aap mujhse facebook page par contact kare.
Register mobile no. alag alag seving account me hai to kya problem aasakta hai
Koi problem nahi. Mere 2 saving account me same number hai.
Bahut achcha se sir step by step batae hain but otp nahi h old mobile number ka kho gya h to kaise hoga?
Agar old number miss ho gaya hai to aap ATM ke through new number register kar sakte hain, option me ATM choose kare
Sir mere pass Sbi net banking activate h or mai apna mobile number change Karna chahta hu par mere pass atm card nhi h Mai Kya karu please help me
Apna registered Mobile number aap SBI Freedom App ke jariye kar sakte hain. SBI Freedom me yah option hai. ATM ke bina aap Netbanking ke jariye number change nahi kar sakte, par freedom par easily kar sakte hain. Read this guide
Sir mujhe freedom app Ka User id and mpin Milne ke baad sare step complete Kar Liya lekin User id mpin dalne ke bad age Ka prosses nahi ho raha hai
Freedom App ki jagah aap SBI Anywhere use kare, ab usme sabhi facility available hain.
Mera mobile no. mere Bank Account me Registered nhi hai. mai apne A/c me mobile no. Add karana chahta hun. lekin av mai Gujarat me hun isliye bank nahi ja skta hun kyun ki mera a/c bihar me hai. to bataye ki kaise mai Add kara sakta hun
thanks
Manoj, Mobile number register karne ke liye aapko Bank me jana jaroori hai yah kaam online possible nahi hai. Ha online aap apna number change jaroor kar sakte hain.
Sir tiny account me mobile number registration hoga ki nahi….
Atm hai por number regitration nahi he me kiya koru plz tell me…
Ji ha aap kisi bhi bank account me apna Mobile Number register kar sakte hain, iske liye aapko bank me jana hoga.
Sir mai kal hi SBI bank mai jaa k mere mobile no register ki but abhi tak koi msg nhi aya hai
To kaise pata karu mere no register hua ki nhi
Agar aapke paas Internet banking hai to usme aap pata kar sakti ho. Aap ATM par paisa nikaal kar bhi pata kar sakte ho. Aap ye article read kare aur register kare missed card banking se. agar register hua to aapka number account se linked ho gaya hai.
Hlo sir mere no ac mai register hha ki nahi kaise pata lagau
ATM par jab aap paisa nikaalte hain to aapko SMS milta hai, iske jariye aap jaan sakte hain ki kaun sa number register hai. Agar aap Internet banking ke liye apply karenge to usme aapko apna Mobile Number register karna jaroori hai tabi aap Net banking use kar sakte hain.
Rohit sir mera old otp no kho gaya h ab muje naya mob no register karne ke liye kya mai sbi ki kisi bhi branch par ja sakta hu..pl
Ji ha Mobile number register karne ke liye aapko apni branch me jana hoga jaha aapka account hai
Sir.
sir hamko ye kaise pata chalega ki mera id aur password kaun sa hai kyoki id aur password to bank banata hai.
बैंक आपको ID और Password देता है। ID आपको Mobile पर SMS से मिल जाएगी और password Post के जरिये भेजा जाएगा। उसके बाद आप उस ID & password से लॉगिन करना अपना New ID और Password set कर सकते हैं।
1Hello sir mai bilkul sahi type krke 567676 pe send kr rha hu par sms send nhi ho rha aur sir other no pe sms send ho rhe hai
2 sir mai agar paytm se add money karu to kya otp ragister email id pe milega
Message send karne ke liye make sure balance ho. Aapko old and new number se message send karna hai. 2)OTP aapko sirf SMS se milta hai