Android Firefox Browser Me HQ YouTube Video Download Kare
100 million downloads ke sath Firefox browser Android ka sabse popular and best browser hai. Main personally UC browser ki jagah Firefox use karta hu.
UC browser me jaisa ki aap jaante hain new update me ab aap YouTube ke video download nahi kar sakte aur na hi other koi inbuilt option available hai.
That’s why i use Firefox.
Firefox Android browser ki sabse khaas baat kya hai? Uske supported Add-Ons, jo install karke aap browser me kayi features add kar sakte hain.
YouTube videos download karne ke liye aap kayi Apps ka use karte honge, ya fir PC par available free youtube downloader ka use karte honge.
Lekin YouTube video download karne ki feature Android firefox browser me available hai to fir app or PC software ki kya jarurat hai.
Android Firefox browser me aap Add-ons ki help se YouTube video easily download kar sakte hain.
Aaj main aapko firefox ke aise hi sabse best Add-on ke bare me bata raha hu.
Is Add-on ki help se aap YouTube video ko sabhi Quality me download kar sakte hain even 1080 Full HD video bhi. Let’s see:
Download YouTube Video Using Android Firefox Browser
Android Firefox Browser me aise to kayi Add-ons available hain youtube videos download karne ke liye but mera sabse favourite hai – Flash Video Downloader – youTube HD Download [4K]
Ok to chaliye firefox par add-on ko install karke video download karte hain.
Sabse pahle apne smartphone me Firefox browser Install kare
Browser install karne ke baad open kare aur browser ke Options ko open kare.
Options me Tools par tap kare aur tools me Add-ons par tap kare.
Ab Add-ons me Browse all firefox Add-on par tap kare
Add-ons me Flash Video Downloader – youTube HD Download [4K] ko search karke install kare.
Add-on install ho jane ke baad ab aap YouTube ke kisi bhi video ko single tap me download kar sakte hain.
- YouTube open kare aur apna video open kare
- Video open karne ke baad kuch seconds me browser ke address bar me aapko Video download karne ke liye blue download icon (⇓) show karega, uske upar tap kare
Download icon par tap karte hi new window me aapke saamne alag-alag kayi Quality me video download karne ke liye options available honge.
- Aap yaha koi bhi quality me video ko download kar sakte hain.
- Aap 1080p Full HD and HD 720p quality me bhi video download kar sakte hain.
Main to is trick ka hi use karta hu kyunki yah fast and single tap me work karti hai.
Aap kaun si method ka use karte hain?